Chaandni raat thi
Aur maekade ke jaam haathon mein
Hansi hothon pe thi
Par thi kahin kuch ranj baton mein
Kisi ki yaad thi
Ya thi meri tanhai ki aawaaz
“Mile do yar mehfil mein
Toh khoya ruh ka aaghaaz?”
Main aaya hosh mein
Mujhko gam-e-dil ka hua ehsaas
Liye botal bujhane ko chala
Jo thi adhuri pyas
Sheher ke raaste pehle kabhi
Itne hasin na the
Bohat guzra gali khunchon se
Lekin bolte na the
Magar us raat jaise tha
Farishtey ka koi farmaan
Juti thi kaynaatein
Pure karne mein mere armaan
Gali ke mod ke patthar pe
Maine sar jhukaya toh
Hua ehsaas teri roshni ka
Aur ibadat ka
Dikhaya aks mujhko
Aur bujha dir uh ki har pyaas
Tha gardish mein jo ik guncha
Use bhi kar diya aazaad
rarely can people come up with sharyries,
ReplyDeletewith such uncanny feel.thats a beautiful one!