Tuesday, November 15, 2011

Do ghante aur!





Do saal do din do ghante hi sahi
Mil jaate agar to kya kia karte ham
Kya jaan lete wo shireen raaz
Jo band aankhon ke piche chupe andheron me quaid hain?
Kya chu hi pate un andheron ki tanhaiyon ko?
Us khamoshi ki tamaamiyat ka andaz bhi laga pate ham?
Kya us pyaas ko bhujane ko kaafi hain do ghante,
Jo is rooh ki gehraiyon me ik sadi se baaki hai?
Us masoom chehre ki ek jhalak bhi dekh pate agar
Jo is shakl ke hijab ke piche se nazar aati hai aksar
thodi dhundhali, bohat azeez si zaalim
un aankho se do jam hi pi lete agar
to samajh lete ham bhi
ke do ghanton me paa liya wo
jise kho kar na jaane kitne janmo
se ye aks zaa’i hai!

This post has been written for Indiblogger's Surf Excel Matic Get Smart Contest - If you had two extra hours in a day, how would you spend it? To Participate click on the picture below...



You can see my post and vote for it here: Click on the image below...

8 comments: